Friday, August 6, 2010

Mein kiya likhoon Muhabat kainati wusatoon se bhi


Mein kiya likhoon
Muhabat kainati wusatoon se bhi
Kaheen agye ki lamehdood wusat he
Kesi chehre ko ankhoon aur khuwaboon ki dua par naqsh karna
Iss ke bare mein sochna
Aur apni har khuwaish ko bas us zaat tak mehdood kar lena
MUHABBAT HAI

Thetharti absharoon mein buji thandi hawa sehna
Shaboon ke gunbadoon mein gunjati bechenioon ke
Darmeaan rehna
Har ek mosam ko apne andaruni mosamon ki zad mein
Ley ana
Kabi mil ke kesi se
Bekhabar adhye samandar tak safar karna
Kabi tanha kesi sahil pe deer tak lehroon ko ginna
Aur hala mein dekhte rehna
MOHABBAT HAI

Kesi khoye huwe ko geer iradi toor par
Har ajnabi cehre mein aksar dhudte rehna
Hamesha bekhayali mein
Kitaboon,chand taroon,badloon par
Us ke bare mein gilmilati batein likh dena
Ya phir likh ke mita dena
Kabi rangoon ki lehroon par
Use bee surat hontoon se sada dena
Sada ko bazgasht aur gunj mein dhal kar
Khlaoon se tehi daman palatte dekhana
Aur phir sada dena
MOHABBAT HAI

Mein kiya likhoon?
Kabi aisa bi hota he
Buhat ruth kar naraz ho kar
Napasandeda khyaloon,nafratoon ki aot se
Ya muhtalif khiloon,bahanoo se
Kesi ko jankte rehna
Kesi ko sochte rehna
Wo mane ya na mane bas use likhna use kehna
MOHABAT HAI

No comments:

Popular Posts