Friday, January 7, 2011

Agar karni hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein


Agar karnii hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein
wagarna choR dai baaqii hain sub baikaar ki baatein

buraa ho ya bhla koii kisi se kya gharaz hum ko
kya apnoon ki kamii he jo karein aghyaar ki baatein

lagaayaa dil agar hum ne,zamaana kya kahaiga phir
ye sub hain baad ki ab to na kar baikaar ki baatein

yahaan par to sunaa he ke hote hain kaaN diwaaroun ke
kisi ke saamne kaise karein asraar ki baatein

ye qol o fail main janaan he kuon itnaa tazaad aakhir
kisi se pyaar karta he kisi se pyaar ki baatein

teri nazroun main jab se pyaar ki daikhi jhalak hum ne
burii lagtii nahein hain ab hamain baikaar ki baatein

No comments:

Popular Posts