insaaan hon khwahishon ki farawaani nahin jaati
nalaaan hon meri baat kiyon maani nahin jaati
wafa key ghar banatey hen kabhi ye sahil e dil pe
muhabbat kerney waaloon ki naadaani nahin jaati
yun saazishon k jaal se RABB ne bacha liya
khud meray dushmanon ki heraani nahin jaati
tanha tha izrtaab men bola ye ik zae'ef
ae kaash ! meri shookh jawaani nahin jaati?
sun ley meri maasoom sadaaon k hareeef
biphri huwi moojon ki rawaani nahin jaati
kal aayeney men dekh ker aisa laga mujhey
mere chehrey se maazi ki kahaani nahin jaati
dhundla diye hen waqt ne chehron k yun naqoosh
"bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahin jaati"
na hota zindgi pey ger azal se moot ka pehra
kabhi khud lote k dunya ki deewaani nahin jaati
jhalakta hey, mehakta hey paseena baaghbanon ka
chaman men raayegaan hergiz qurbaani nahin jaati
No comments:
Post a Comment