Friday, January 7, 2011

A sarmayaa daaro kitne fikr ki ye baat hai


A sarmayaa daro kitne fikr ki ye baat hai
Her taraf hai roshni tum par andhairi raat hai

Ehle sarwat ho magar kum bhiik mangoun sai nahein
Do takke dai kar kisi ko kehte ho khairaat hai

Kya kabhi logoun sai bhi poochhaa hai yaa phir khud younhi
wa wa kar ke dil behlaate ho apnaa, kya baat hai

Tum nazar aate kahaan ho hokmaraanoon ko bhlaa
Daikhne wali tumhaein tou ik Khudaa ki zaat hai

Door jaane ki zaroorat kyoun bhlaa hogi tumhaein
Noch khaate ho usi ko jo milaata haat hai

Dil takabbur sai bhre haein niyatoun main khoT par
DamRiyoun sai kum tumhare ke soun ki aoqaat hai

Hum ghariboun ka ye jinaa moot sai bad tar hai par
Tum amiroun ke liye tou zindagi soghaat hai

Hai agarche dhan o dolat ab tumhare paas par
Fikr hum ko bhi nahein Moulaa hamare saath hai

No comments:

Popular Posts