Dil-o-JaaN main tujhay rakha hay, wafa main tujhay rakha
Wo jo guzrey, unhi lamhoN ki Ada main tujhay rakha
Lab-e-khandaN ko siya tu nay kisi dar say magar sun!
Hay taqaazaay-e-muhabbat k Nawa main tujhay rakha
Tray Nazuk say Q'ua main mri quwat ka khazeena
Jabhi Sar-sar main raha khud tu Saba main tujhay rakha
Dam-e-rukhsat ye nida aayi k pehchan khudi ko
Dil-e-sad-ranj say phir baang-e-daraa main tujhay rakha
Jo murattab hay ye dagtar mray a'amal ka ahsan
Za gariftaar-e-saza hoN k jazaa main tujhay rakha
Mray rabb nay mujhay rakha hay laho ki jo tapish main
Ho haseeN hast zi-bas rang-e-hina main tujhay rakha
Dil-e-deewana o mastana talab-gaar hua jab
Tu JunoN khaiz har ik lamha Dua main tujhay rakha
Gham-o-andoH o khushi k, tray hi naqsh har ik ja
Jo fana main tujhay rakha tu baqaa main tujhay rakha
No comments:
Post a Comment