Saturday, July 21, 2012

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain


Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log

fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log

kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log

is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log

hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log

ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log

un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi

un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi
aur pocheye tu jurrat-e-inkaar bhi nahi

merey kholoos per jo bharosa na ho tumhain
mujh ko taluqaat pe israr bhi nahi

hain merey ghum-gusaar agar mujh sey bad gumaa.n
main ghum-gusariyoo.n ka talab-gaar bhi nahi

gull kar deye charagh kisi nay tu kya howa
ab roshni sey hum ko sar-o kaar bhi nahi

kaam un sey aa para hay muqaddar ki baat hay
hum jin sey guftugu k rawa-daar bhi nahi

un rastoo.n sey ho kar guzar aai zindagi
jin rastoo.n main saya-e dewaar bhi nahi

maazi bohat aziz hay Iqbaal ko magar
wo eh'd-e raftagaa.n ka aza-daar bhi nahi

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh

dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh

dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh

sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh

kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh

MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh

Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai

Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai
Hum Ne Tere Dukh Ko Gawara Kar Liya Hai

Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai

Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Agar main had se guzar jaoun to mujhe maaf kerna

Agar main had se guzar jaoun to mujhe maaf kerna..
tere dil main utar jaoun to mujhe maaf kerna..

raste men tujhe dekh ker teri deed ki khatir..
pal bhar jo thehar jaoun to mujhe maaf kerna..

apne jazbat se likhi howi shokh tahreer..
tere nam kar jaoun to mujhe maaf kerna..

tere pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti..
tere bin jo mar jaoun to mujhe maaf kerna..

gham-e-zindagi tere rah mein shab-e-arzoo tere chah mein

gham-e-zindagi tere rah mein shab-e-arzoo tere chah mein

jo ujar gaya wo basa nhe,jo bichar gaya woh mila nahe

jo dil-o-nazar ka saroor tha
mere paas reh keh b door tha,

wohi ek gulaab umeed ka
mere shak-e-jaan pe khila nahe

mera humsafar jo ajeeb hai,
to mein b hon ajeeb tar,

usay manzilon ki khabar nahe mjhay raaston ka pata nahe,

pus-e-karwaan,sar-e-rehguzar mein hara hon to is liye

k qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahi

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta

Kis ghaat utarna tha lab e joo nikal aaye



Kis ghaat utarna tha lab e joo nikal aaye
phir shaam hui dasht main aahoo nikal aaye

uRnay lagi deevar e qafz se koi tehreer
ya teray aseerooN k hi bazoo nikal aaye

is dar se main soya nahin neendooN k safr main
kab meray ta'aqub main wo khushboo nikal aaye

phir ad'l ki zanjeer hila di hai kisi ne
phir wada e farda pe tarazoo nikal aaye

Hum sab;r ki talqeen kiya kartay thay jis ko
ab ke usay dekha hai to aansoo nikal aaye

aankhoN se uljhnay laga phir johar e girya
is aalum e wehshat main agar too nikal aaye

aaye jo Saleem ab sir e fehrist sukhan hum
kuch hifz e maratib ke bhi pehloo nikal aaye

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay
Per Main Nay Kub Kisi Ki Koi Baat Maani Hay

Ik Subha Tere Sath Nikalna Hay Raat Say
Ik Shaam Tere Sath Kisi Din Manani Hay

Ik Bhaid Kholna Hay Mujhy Tere Ro-Ba-RoO
Ik Baat Hay Jo MaiN Nay Tujhi ko Batani Hay

Mujh Ko Bhi Taaray Torr Lanay Ka Hay JunOo'n
Main Nay Bhi Aasmaan Ki Buhat Khaak Chaani Hay

Us K Liye Bhi Shaher Basanaa Hay Ik Mujhy
Apnay Liye Bhi Ik Nai Duniya Banani HaY

Jo Kuch Main Likh Raha Hun, Woh RoDaad Hay Meri
Tum Perh Sako Tou Phir Ye Tumhari Kahani Hay

Kahta Hay Koi Aa, Issay Phir Say Likhain Saleem
Woh Daastaan-e-IshQ Buhat Hi Purani Hay

Karobar e gham e duniya bhi nahin chootta hai

Karobar e gham e duniya bhi nahin chootta hai
teri yadon ka tasalsul bhi nahin toot'ta hai

be-satooN harf e dua lab pe uthaaye rakhna
aasmaaN khak nasheenoN pe bohat toot'ta hai

jism aur rooh main hayl hai zameeN ki khushbu
warna aasaani se ye sath kahaN choot'ta hai

dab gai mal e ghaneemat hi main awaz e jaras
kon khaimooN se ye asbab e safr loot'ta hai

nafa'a e jaaN jisy hum day k bohut khush thay Saleem
ab ussi shaakh se mousam ka ziyaaN phoot'ta hai

Tere wajood se inkaar karnay wala tha

Tere wajood se inkaar karnay wala tha
nazr na aata to main bhi mukrnay wala tha

mera hi naam na tha subhh ki faseelooN per
diyaar e shab se main tanha guzrnay wala tha

abhi se toR gaya silsila jarahat ka
abhi to zakhm e shanasaai bhrnay wala tha

jo dhoop cunta phira dupehr ki galiyooN se
wo shakhs apnay hi saaye se Darrny wala tha

kissay batain faraib e talab main kaar e junooN
chalay thy jis pe wo rsta bikhrnay wala tha

main saamnay ke hawaooN ko rook leta magr
mery aqab main jo dushman tha marnay wala tha

guzishata raat wo habs e teergi thi Saleem
ke jaisay koi saheefa utrnay wala tha

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
magr ye baat hamaray hi darmiyaan rahay

gilaa tujhi se nahiN baam o dar ki viraani
khuli fizaa maiN bhi hum log by amaan rahay

te're aseer mizaj aashnaa e mousam haiN
so teri qaid maiN reh kr te'ri amaan rahay

shikast e jaaN pe hai tajdeed e aitebaar ki muhr
jo doob kr bhi te're saahiloN ka maan rahay

wo barg jin pe rutooN ke azaab utray thy
shajr se katt k bhi mousam k tarjumaan rahay

tu apnay haq maiN gawahi kahaN se laaye ga
te're tarf se agr hum bhi bad-gumaan rahay

Chalo un manzaroon k sath chalty hain

Chalo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
darkhtoon par hawaain mousamoon key geet gati hain
jahan par chand taroon ko liye mat'ti main utra hy
jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
jahan sey rasty jaty hain anjani musafat ko
jahan sooraj ki kirnain rat par pehra bithati hain

Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
zara in kashtiyon ko ghor sey dykhoo
jo patwaroon ki baNhooN main
samanadar main bichi khamooshyoun ko guftugo ka saaz dyti hain
hamain aawaz dyti hain
udhar dykhoo
parindy badloon k gird urty hian
kinaroon par utarty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


wo dykhoo qafla jata hy kuch naaqa sawaroon ka
musafat dhoop ki hy or safar hy reyzgaroon ka
kabhi jo rat parti hy to ye khymy lagaty hain
kisi ko yaad karny ki tarap main bhool jaty hain
inhi khymoon sy kitni dastanoo ky siry milty howy
naghmoon main dhalty hain



Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


kabhi banty bigarty daayroon k darmiyaan dykhoo
shikasta ho gay becheragiky dukh main aainey
tamasha ho gain wiraaniyoon ky raqs main aankhain
yahan to guftugoo k saay bhi khamoosh rehty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain

jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko

shukar tera

Meri maan nay matti say kesa khilona banaya
bna kar usay tootnay say bachaya

woh chalta nahin tha
usay chabi day kar chalaya

woh hansta nahin tha
usay gudgudi say hansaya

woh rota nahin tha
usay mara peeta ... rulaya

woh bhooka tha
us ko chugaya

woh khamosh tha
kya khabar kis tarah baat karna sikhaya

woh parhta nahin tha
bari mushkilon say parhaya

woh larta nahin tha
usay zindagi say laraya

sab ahsaan us kay
keh us nay khilonay ko kya kya sikhaya

magar shukr tera keh tu nay khilonay ko
maan say milaya

Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain



Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain
woh haath mujh ko bachanay kahan say aatay hain

umeed kaisay jazeeray talash karti hai
samandron mein thikanay kahan say aatay hain

zameen apnay khazanay lutati rehti hai
magar zameen mein khazanay kahan say aatay hain

sukhan mein kis tarah aatay hain aks khwahish kay
nazar mein aaina khanay kahan say aatay hain

kahan say aatay hain shakhon peh barg o gul Faisal
shajar ko ranng bananay kahan say aatay hain

apny mehwer se hat rahe hain log



apny mehwer se hat rahe hain log
kitny tukroN maiN bat rahy haiN log

wo jidher roshni ka mamba hy
usi janib palat rahy haiN log

youN haiN jesy darakht jangal k,
jal rahy haiN ya kat rahy haiN log

paish-khaima hy aik toofaaN ka
ik moaqaf pe dat rahy haiN log

apmi be'saaeigi se bechaary
walihana lipat rahy haiN log

kis ka hy ye ghubar-e-raah-e-fana
jis maiN be-kaar aat rahy haiN log

lafz khud bol kr btaa'ay ga
mery maa'ani ulat rahy haiN log

faasly kyuN na ab barh'haiN
apny ander simat rahy haiN log

Gham se behal rahy hain ap aap bohat ajeeb hain

Gham se behal rahy haiN ap aap bohat ajeeb hain,
dard meiN dhal rahy haiN ap, aap bohat ajeeb haiN...

sayaa-e-wasl kab se hay, aap ka muntazir magar,
hijr meiN jal rahy haiN ap, ap bohat jaeeb haiN....

apny khilaaf faislaa, khud se likha hay aap ne,
haath bhi mal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

waqt ne aarzu ki lau, dair hui bhujha bhi dee,
ab bhi pighal rahy haiN ap, aap bohat ajeeb haiN...

zehmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiay nahiN,
gir k sambhal rahy haiN ap aap bohat ajeeb haiN...

daaira-waar hi to haiN, ishq k raasty tamaam,
raah badal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

dasht ki saari ronaqaiN, khair se ghar maiN haiN to kyuN
ghar se nikal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

apni talash ka safar khatm bhi kijiay kabhi,
khawb meiN chal rahy haiN aap, aap bohat ajeeb haiN...

Hum Buray Loog Hain

"Hum Buray Loog Hain"

Tum hi achay thy kisi se kabhi takraar na ki
tum k takrar ke khu-gr bhi na thy
tum hi achay thy
jo min-jumla e arbaab e nazr rehty thy
itnay saada thy k zakhmooN ko hina kehty thy
shehr e pur-hosla main
sheewah e ehl e hunr per kabhi tanqeed na ki
itnay be-bass thy k jab waqt paRa
apni bhi taa'eid na ki

Hum buray Loog hain sach kehty hain
hum buray log hain, khushnoodi e arbaab e asr ke baaghi
kabhi qatraay ko samandr na likha
kisi zarray ko bhi sehraa na kaha
qarz e aaina chukanay k liye aks se mehroom rahay
aur insaaN se muhabbat ka sila ?
ik saza yaafta mujrim ki tarha zinda rahay

Tmhain bhi ishq karny k hunr aanay lagay hain



Tmhain bhi ishq karny k hunr aanay lagay hain
to kya ab khwab din main bhi nazr aanay lagay hain?

ta aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
ye kaisay ab k paidoon(Tree) per samr aanay lagay hain

tmhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
udhr dekho musafir lout kar aanay lagay hain

bisat e assmaaN se ab me'ri janib sitary
saf e sayyargaaN ko tod kr aanay lagay hain

bayabaaN paoN se lipty huway hain gard ho kr
hamain dr paish ye kaisay safr aanay lagay hain

abhi to koi aabadi ki sorat bhi nahin hai
abhi se bastiyooN main nauha gr aanay lagay hain

abhi to milny ki sa'at  aai nahin hai
abhi se dil main kaisay kaisay Darr aanay lagay hain

Kabhi chupaya nahin jo gunah mujh se huwa

Kabhi chupaya nahin jo gunah mujh se huwa
bata diya jo safaid o siyah mjhse huwa

ye baar e hijr bhi teray sapurd kar deta
bus ik yehi na me'ry kaj kulah mjhse huwa

hazoor e subh ujalooN ne mjh ko pesh kiya
gharoor e manzil e shab gard e rah mjhse huwa

te'ry khilaf gai aakhri shahadat bhi
k munharif bhi huwa to gawah mjhse huwa

tu janta hi nahin tha mizaj e hamsafari
yehi bohat hai j itna nibah mjhse huwa

bus aik tu tha jissay raiygaaN kiya main ne
aur aik ishq tha jo be-panah mjhse huwa

Saleem jeet bhi meri thi haar bhi meri
ajab muqabla-e-izza o jah mjhse huwa

Agr koi bhi aaina chiragh aasaa nahin hai

Agr koi bhi aaina chiragh aasaa nahin hai
tu ky ahum rah gerooN k liye rasta nahin hai

ye kis tarteeb se aazaa muattal ho rahay hain
kabhi aankhaiN nahin hai aur kabhi chehra nahin hai

zameeN se aasmaaN tak aik si veeraniyaaN hain
kahin jugnoo nahin hai aur kahin tara nahin hai

ye aankhaiN dil ki sheh per kab talak mosam se uljhain
ye sehra apni had se barh k to pyasa nahin hai

tujhe kitna bachaya vehm ki perchaiyooN se
abhi tak apnay saye per te'ra dhoka nahin hai

Visaal o hijr k sab marhalay roshan hain laikin
muhabbat karny walooN ne kabhi socha nahin hai

jissay chal kar  asaan ho bazi ulatna
bisat e ishq per aisa koi mohra nahin hai

Duniya ko abhi pata nahin hai

Duniya ko abhi pata nahin hai
hum main koi parsaa nahin hai

tanhai kiwar khool day naa
main hoN koi dosra nahin hai

ab k to chiragh ne hawa se
kuch bhi to kaha suna nahin hai

galiyoN main bhatk rahi hain rataiN
sorj ka kahin pata nahin hai

ab to kameeN gah se nikal aa
ab koi mahasra nahin hai

main khud hoN ana parast warna
tu to me'ra mas'ala nahin hai

khaimoN main chiragh bujh rahay hain
ye waqt farar ka nahin hai

milna to Saleem khwab tehra
yadooN ka bhi silsila nahin hai

Bus ik rasta hai ik awaz hai aur aik saya hai

Bus ik rasta hai ik awaz hai aur aik saya hai
ye kis ne aa k gehri neend se mjhko jagaya hai

bicharti aur milti sa'atooN k darmiyaN ik pal
yehi ik pal bachanay k liye sab kuch ganwaya hai

idhr ye dil abhi tak hai aseer e vehshat e sehra
udhr us aankh ne charooN taraf pehra bithaya hai

tumhain kaisay batain jhoot kya hai aur sach kya hai
na tum ne aaina dekha, na aaina dikhaya hai

hamain ik ism e aazam yaad hai wo sath hai, hum ne
kai baar aasmaN ko in zameenoN per bulaya hai

kahaN tak roktay aankhoN main abr o baad e hijraaN ko
ab aaye ho k jab ye shehr zair e aab aaya hai

Saleem ab tak kisi ko bad-dua di to nahin laikin
hamesha khush rahay jis ne hamra dil dukhaya hai

Nahin rabt saye se ab kis bhi darakht ka

Nahin rabt saye se ab kis bhi darakht ka
zara fasla rahay ghar se sehra-o-dasth ka

me'ra khoN baha me'ry log mjh ko ada karain
me'ra mas'ala kisi taj ka tha na takht ka

tujhe waqt ho to ye bazi khail k dekh le
hai ajeeb nasha mohabbatoN main shikast ka

meri khaak main hain namoo ki sari aziyatain
kaf-e-kozah gar main hai zaiycha mere bakht ka

issi pesh-o-pass main me'ry khazany badal gaye
teh e sang bhi to hai aks tesha ba-dast ka

me'ri chaoN ko me'ri dhoop tak to bahal rakh
sir-e-dast moula koi nahin tahi dast ka

abhi guftani hai Saleem raz-e-sukhn bohat
abhi gonjta hai lahu main na'ara Alust ka

Waqt maqtal se meri laash utha laya tha

Waqt maqtal se meri laash utha laya tha
logo main apni gawahi main khuda laya tha

ab ye mousam me'ri pehchan talab karty hain
main jab aaya tha yahaN tazah hawa laya tha

le uri baad e kam aasar sir e dasht kahiN
main to sehra se te'ry ghar ka pata laya tha

meray hathon main bhi zaitoon ki shakhain thiN kabhi
main bhi honton pe kabhi harf e dua laya tha

jang k aakhri lamhoN main ajab baat huwi
Shah lartay huwaye piyaday ko bacha laya tha

lazzat e dr badri bhool chuka hoN ab to
khali hathon main kabhi arz o samaa laya tha

wo bhi daryozah gar e shehr e tamanna tha Saleem
main bhi ik kasa -e- benaam utha laya tha

wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga

wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga
wo dosroon sey magar mujh ko kuch juda sa laga

mizaaj us nay na pocha magar salam liya
ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuch bhala sa laga

wo jis ki kum-sukhani ko ghoroor samjha gaya
meri nigah ko wo paikar-e haya sa laga

main apney karb ki rodaad us sey kiya kehta
khud us ka dill bhi mujhe kuch dukha dukha sa laga

ghubaar-e waqt nay kuch yoon badal deye chehrey
khud apna shehr bhi mujh ko naya naya sa laga

ghuti ghuti sey lagi raat unjuman ki fiza
charagh jo bhi jala kuch bujha bujha sa laga

jo hum pe guzri hay shaid sabhi pe guzri hay
fasana jo bhi suna kuch suna suna sa laga

main ghar sey chal k akela yahan tak aaya hon
jo hum-safar bhi mila, kuch thaka thaka sa laga

kuch is kholoos sey us nay kaha mujhe
khud apna naam bhi mujh ko bohat bara sa laga

na minnat kisi ki na shikwah kisi se

na minnat kisi ki na shikwah kisi se
basar ho rahi hai magar be-dilli se

tawaqa bhi kiya ho kisi ko kisi se
 k bezaar hai admi admi se

milee.n tu nigahai.n nigahaoo.n sey lekin
miley jaise ik ajnabi ajnabi se

shikayat kuja, aur nadim howe hum
uthaai gaii yoon nazar bebasi se

wo milne ko miltey tu hain hum sey lekin
bari be-dilli sey, bari be-rukhi se

Dayaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya

Dayaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahin To Kiya Huaa, Wo Shakal To Dikha Gaya…

Judaiyon Kay Zakhm, Dard-e-Zindagi Nay Bhar Diye…
Tujh Ko Neendh Aa Gayi, Mujh Ko Bhi Sabr Aa Gaya…

Ye Subhaa Ki SofediyaaN, Ye Dopaher Ki ZardiyaaN…
Ab Aainey Mai Dekhtaa Hoon, Mein Kahan Chala Gaya…

Wo Dosti To Kheir Ab, Naseeb-e-Dushmanaan Hui…
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chalaa Gaya…

Ye Kis Khushi Ki Reet Per, Ghamon Ko Neend Aa Gayi…
Wo Leher Kis Taraf Gayi, Yeh Mein Kahaan Samaa Gaya…

Hansna nahi aata mujhe ye baat nahi hai

Hansna nahi aata mujhe ye baat nahi hai
shaid tumhain undaza-e halaat nahi hai

ye kaise kahoo.n, un sey main waqif hi nahi hon
haan, door sey dekha hay, mulaqaat nahi hai

shikwe tu unhain mujh sey hamesha hi rahey hain
merey leye ye koi nai baat nahi hai

yoon un sey mulaqaat tu ho jaati hay aksar
bas silsila-e pusish-e halaat nahi hai

namoos-e mohabbat ka tahafuz hay bari baat
khud apna ziyaa.n, koi bari baat nahi hai

be-noor ujaloo.n ko seher kaise samajh loon
tum laakh kahe jajo k ab raat nahi hai

Iqbal, bura kehtey ho tum dil shikani ko
is door main ye baat, koi baat nahi hai

humein jin dostoon nay be-gunaahi ki saza di hai



humein jin dostoon nay be-gunaahi ki saza di hai
humara zarf dekho hum nay un ko bhi dua di hai

mubada muh'r-e khamoshi laga di jaay hontoo.n per
ghazal ko ehtiyatan hum nay goyaai sikha di hai

raza karaan-e aazadi k shouq-e taaj poshi nay
jo kuch rutba barhaya hay tu qeemat bhi ghata di hai

ba-naam-e deen-e Ibrahim bas itna kya hum nay
k but khane sey milti julti ik masjid bana di hai

ye sach hay bijliyaa.n bhi baar ha tooti hain gulshan per
 magar is aag k sholoon ko khud hum nay hawa di hai

ye baat alag hai ke aankhoun ke band toot gay

ye baat alag hai ke aankhoun ke band toot gay
magar zubaan se kabhi hum ne kuch kaha to nehi

khata to jab hai ke hum arz-e-mudaa bhi kerian
kisi ko chahtay rehna koi khata to nehi

naseeb kaisay badal dey koi safeenay ka
jo na kuda hai woh sab kuch sahi Khuda to nehi

jo baat dil mein hai bea-khauf kyun neigh kehtay
zubaan-o-kalb mein kuch easa fasla to nehi

ye kon hai beahis-o-harkat pera hai sahil per
chalo kareeb se deakhian woh na khuda to nehi

najanay kaflay walay khafa hain kyun muj se
mein sirf aik musafir houn rehnuma to nehi

hazour app ne Iqbal ko ghalat samjahe
woh parsa hai magar admi bura to nehi

Ab kya soche kya hona hai

Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…
Pehle socha hota paagal,
Ab rone se kya hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…

Yaar se gum keh par to khus wo,
Lekin tum ye kya jaano….
Yaar se gum keh par to khus wo,
Lekin tum ye kya jaano….
Tum dil ka rona rote the,
Wo rota dil mein hasta hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…

Aaj kisi ne dil toda to,
Humko jaise dhyaan aaya…
Aaj kisi ne dil toda to,
Humko jaise dhyaan aaya…
Jiska dil humne toda tha,
Wo jaane kaisa hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…

Mere kuch pal mujhko de do,
Baaki saare din logo..
Mere kuch pal mujhko de do,
Baaki saare din logo..
Tum jaisa jaisa kehte ho,
Sab waisa waisa hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…
Pehle socha hota paagal,
Ab rone se kya hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…
Ab kya soche kya hona hai,
Jo hoga achcha hoga…


tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kaya maloom

tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kaya maloom
terey chehray ke ye saada se achootay se naqoosh
mere takhayul ko kaya rang ata kartay hain
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain
jalwat-e-bazm ho ya khalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri ankhon main ubhar aata hai
tu koi saát ho, koi fikar ho koi mahool
mujh ko har simt tera husn nazar ata hai
chaltay chaltay jo qadam aap thithak jatay hain
sochta hoon k kahin tu nay pukara to nahin
gum si ho jati hain nazrain to khayal aata hai
is main pinhan teri ankhon ka ishara to nahin
dhoop main saaya bhi hota hai garaizan jis dam
teri zulfain meray shanon pe bikhar jatin hain
thak ke jab sir kisi pathar pe tika daita hoon
teri banhain mairi gardan main utar aati hain
ankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baleen koi baitha hai bare payar ke saath
meray bikhray huway, uljhay huay baloon main koi
ungliyaan phairta jata hai bare payar ke saath

kis ko maloom meray khwaabon ki tabeer hai kya
kaun janay ke meray gham ki haqeeqat kya hai
main samajh loon bhi agar isko muhabat ka junoon
mujh ko is ishq-e-junoon khaiz se nisbat kya hai

tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kese ho maloom
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain

Usney phool bhaijey hain

Usney phool bhaijey hain,
phir meri ayadet ko!

aik aik pati main,
un labon ki narmi hay!
...
un jameel hathon ki,
khushgawar heedat hay!

un lateef sanson ki,
dilnawaz khushboo hay!

dil main phool khiltey hain,
rooh main chiragaan hay!

zindgi muater hay,
phir bhi dil ye kehta ha,

baat kuch bana leta,
waqt ke khazaney se,
aik pal chura leta,

KAASH WO KHUD AA JATA!!!

Mumkin jo agar hota

Mumkin jo agar hota...
Hum tum ko bhula dete..
Yadon ko
Kafan de kar..
Be waqt sula dete..
Tanhai main gee lete..
Tum ko na sada dete.
Is dil se tere dil tak.
Diwar utha dete..
Mumkin jo agar hota.
Hum tum ko bhula
Dete.

Mohabbat Na Samajh Hoti Hai Samjhana Zaroori Hai

Mohabbat Na Samajh Hoti Hai Samjhana Zaroori Hai
Jo Dil Mein Hai Use Aankhon Se Kehalwana Zaroori Hai

Usoolon Par Jo Aanch Aaye To Takrana Zaroori Hai
Jo Zinda Hai To Phir Zinda Nazar Aana Bhi Zaroori Hai

Bohot Bebaak Aankhon Mein Talluq Tik Nahin Sakta
Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Zaroori Hai

Saleeqa Hi Nahi Shayad Use Mehsoos Karne Ka
Jo Kehte Hai Gar Khuda Hai To Nazar Aana Bhi Zaroori Hai.

Kitne itminaan se woh thukra gaye mujhe

Kitne itminaan se woh thukra gaye mujhe,
Aansoo bana ke aankh se tapka gaye mujhe,

Kaisi yeh rehbari thi yeh kaisa fareb tha,
Manzil dikha ke raah se bhatka gaye mujhe

Khamosh nigahon se kahani suna gaye,
Lafzon ke har phair mein atka gaya mujhe,

Mujh ko bhi bachpan ka sa ek mazaq samaj ke,
Chhoti si ek hansi mein uraa gaya mujhe,

Do din mein uss ke dil se mohabat utar gayi,
Aur do hi din mein yaad se mita gaye mujhe.

Popular Posts