Saturday, July 21, 2012

Duniya ko abhi pata nahin hai

Duniya ko abhi pata nahin hai
hum main koi parsaa nahin hai

tanhai kiwar khool day naa
main hoN koi dosra nahin hai

ab k to chiragh ne hawa se
kuch bhi to kaha suna nahin hai

galiyoN main bhatk rahi hain rataiN
sorj ka kahin pata nahin hai

ab to kameeN gah se nikal aa
ab koi mahasra nahin hai

main khud hoN ana parast warna
tu to me'ra mas'ala nahin hai

khaimoN main chiragh bujh rahay hain
ye waqt farar ka nahin hai

milna to Saleem khwab tehra
yadooN ka bhi silsila nahin hai

No comments:

Popular Posts