Saturday, July 21, 2012

Agr koi bhi aaina chiragh aasaa nahin hai

Agr koi bhi aaina chiragh aasaa nahin hai
tu ky ahum rah gerooN k liye rasta nahin hai

ye kis tarteeb se aazaa muattal ho rahay hain
kabhi aankhaiN nahin hai aur kabhi chehra nahin hai

zameeN se aasmaaN tak aik si veeraniyaaN hain
kahin jugnoo nahin hai aur kahin tara nahin hai

ye aankhaiN dil ki sheh per kab talak mosam se uljhain
ye sehra apni had se barh k to pyasa nahin hai

tujhe kitna bachaya vehm ki perchaiyooN se
abhi tak apnay saye per te'ra dhoka nahin hai

Visaal o hijr k sab marhalay roshan hain laikin
muhabbat karny walooN ne kabhi socha nahin hai

jissay chal kar  asaan ho bazi ulatna
bisat e ishq per aisa koi mohra nahin hai

No comments:

Popular Posts