humein jin dostoon nay be-gunaahi ki saza di hai
humara zarf dekho hum nay un ko bhi dua di hai
mubada muh'r-e khamoshi laga di jaay hontoo.n per
ghazal ko ehtiyatan hum nay goyaai sikha di hai
raza karaan-e aazadi k shouq-e taaj poshi nay
jo kuch rutba barhaya hay tu qeemat bhi ghata di hai
ba-naam-e deen-e Ibrahim bas itna kya hum nay
k but khane sey milti julti ik masjid bana di hai
ye sach hay bijliyaa.n bhi baar ha tooti hain gulshan per
magar is aag k sholoon ko khud hum nay hawa di hai
No comments:
Post a Comment