Kis ghaat utarna tha lab e joo nikal aaye
phir shaam hui dasht main aahoo nikal aaye
uRnay lagi deevar e qafz se koi tehreer
ya teray aseerooN k hi bazoo nikal aaye
is dar se main soya nahin neendooN k safr main
kab meray ta'aqub main wo khushboo nikal aaye
phir ad'l ki zanjeer hila di hai kisi ne
phir wada e farda pe tarazoo nikal aaye
Hum sab;r ki talqeen kiya kartay thay jis ko
ab ke usay dekha hai to aansoo nikal aaye
aankhoN se uljhnay laga phir johar e girya
is aalum e wehshat main agar too nikal aaye
aaye jo Saleem ab sir e fehrist sukhan hum
kuch hifz e maratib ke bhi pehloo nikal aaye
No comments:
Post a Comment