Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya
jab mohabbatain ki hai phir koi gawahi kya
hum rutooN k mujrim hain per hawa ki nazroon main
teri parsai kya meri be-gunahi kya
wasl ka koi lamha raiygaaN nahin laikin
jo alag na karta ho aisa rastaa hi kya
tum to aankh walay thay aks mil gaya hoga
main sada ka be-chehra mera aaina hi kya
shab guzeedah logoN ko neend se ulajhna hai
raat ki musafat main razme subh gahi kya
janay kab bigar jaiN janay kab sanwar jaiN
dast e kozah gar main hain apna aasraa hi kya
tum Saleem shair ho shoratooN pe mat jao
masnade faqeeri per khabt e baadshahi kya
No comments:
Post a Comment