Mere wajood main sachai meri maan ki hai
wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai
safr main lamha e awargi bhi shart sahi
thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai
samandaroon main jazeeray panah detay hain
magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai
bala ka habs ragoon main utr gaya ab k
na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai
suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab
zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai
na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni
to phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai
khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem
bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai
No comments:
Post a Comment