ajanabi Khauf fizaaon mein basaa ho jaise
sahar kaa shahar hi aaseb_zadaa ho jaise
raat ke pichhale pahar aati hai.n aawaazein sii
duur saharaa mein koi chikh rahaa ho jaise
dar-o-divaar pe chaai hai udaasi aisi
aaj har ghar se janaazaa-saa uthaa ho jaise
muskuraataa hoon pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise
ab agar Duub gayaa bhii to marungaa na 'Kamaal'
bahate paani pe mera naam likhaa ho jaise

No comments:
Post a Comment