Monday, August 12, 2013

Khuda jaane tumhaare zehen main kia hai

Khuda jaane tumhaare zehen main kia hai
Mere baare mai tum kia sochti ho keh nahee sakta
Magar mai is liye milney se katraata hun tum se
Ke wo baten jo hum likhte hain aapne khat mai chahat se
Wo baaten aur baaten hain
Wo baten aisi baten hain ke bas baaten hi baten hain
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se
Haqeeqat munkashif hoti nahee alfaz likhne se
Zubani giftgoo se bahami izhar-o-arz-e-hal kerne se
Bahut si aisi baaten hain
Jinhen sunne ko kaano ki nahee aankhon ki haajat hai
Agar tum mujh se milne per bahut israar kerti ho
To phir aik shart hai
Aik lafz bhi kehna na hoton se
Faqat aankhon se aankhen guftgoo kerti rahen
Khala apne sawaalon ka
in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi
Agar milna zaroori hai
To chhoti si meri yeh shart apne zehen mai rakhna!!!

No comments:

Popular Posts