aziz itna hi rakho k ji sanbhal jaye
ab is qadar bhi na chaho k dam nikal jaye
mile hain yun to bahut ao ab milen yun bhi
k ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton main ajab hai dilon ko dharka sa
k jane kaun kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar main rahe
khusha wo umr jo khwabon hi main bahal jaye
main wo charag-e-sar-e-rahguzar-e-duniya hun
jo apni zat ki tanhaiyon main jal jaye
har ek lahja yahi arzu yahi hasrat
jo ag dil main hai wo sher main bhi dhal jaye
No comments:
Post a Comment