girifta-dil hain bahut aj tere diwane
Khuda kare koi tere siwa na pahchane
miti miti si ummiden thak thak se khayal
bujhe bujhe se nigahon main gam k afsane
hazar shukr k ham ne zuban se kuch na kaha
ye aur bat k pucha na ahal-e-duniya ne
baqadr-e-tashnalabi pursish-e-wafa na hui
chalak k rah gaye teri nazar k paimane
khayal a gaya mayus rahguzaron ka
palat k a gaye manzil se tere diwane
kahan hai tu k tere intazar main ai dost
tamam rat sulagate rahe dil k wirane
ummid-e-pursish-e-gam kis se kijiye 'Nasir'
jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane
No comments:
Post a Comment