wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho
wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho
koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho
suno zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho
kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho
hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath par
mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad ho
kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho
wo bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka
wo nahin nahin ki har an ada, tumhen yad ho ki na yad ho
jise ap ginte the ashna jise ap kahte the bawafa
main wahi hun "Momin"-e-mubtala tumhen yad ho k na yad ho
No comments:
Post a Comment