'Nasir' kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai
diwana hai diwane k mun na lago to behtar hai
kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai
kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai
kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai
kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye
rat bahut kali hai 'Nasir' ghar main raho to behtar hai
No comments:
Post a Comment