Monday, May 17, 2010

zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa

zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa
kam-zarf zindaa rah gaye, insaan mar gayaa

Gham Khaanaa-e-jahaaN meN kise jurrat-e-qayaam
meraa hi hausla thaa, do din TheHar gayaa

hai shiddat-e-Khuloos ek zurm-e-aashiquii
parwaana jal ke shamma ko badnaam kar gayaa

baiThe haiN aaj aaiinaa-e-?? le ke wo
ab jaaniye ke nazm-e-do aalam saNwar gayaa

lillah ! aap mujhse muHabbat na keejiye
do roz hi meN aapkaa chehraa utar gayaa

pehle tau zindagii kee tamanna thii ishq meiN
ab dhuuNdhtaa huN maiN, meraa qaatil kidhar gayaa

rah kar tilism-e-Khaana-e-hastii meiN 
tau maiN Khud apne hi saaye se Darr gayaa

No comments:

Popular Posts