Monday, May 17, 2010

dukh ki lahar ne chera hoga

dukh ki lahar ne chera hoga 
yad ne kankar phenka hoga 

aj to mera dil kahta hai 
tu is waqt akela hoga 

mere chume hue hathon se 
auron ko khat likhta hoga 

bhig chalin ab rat ki palkain 
tu ab thak kar soya hoga 

rel ki gahri siti sun kar 
rat ka jangal gunja hoga 

shahar k khali steshan par 
koi musafir utra hoga 

angan main phir chiriyan bolen 
tu ab so kar utha hoga 

yadon ki jalti shabnam se 
phul sa mukhra dhoya hoga 

moti jaisi shaql banakar 
aine ko takta hoga 

sham hui ab tu bhi shayad 
apne ghar ko lauta hoga 

nili dhundhli khamoshi main 
taron ki dhun sunta hoga 

mera sathi sham ka tara 
tujh se ankh milata hoga 

sham k chalte hath ne tujh ko 
mera salam to bheja hoga 

pyasi kurlati kunjun ne 
mera dukh to sunaya hoga 

main to aj bahut roya hun 
tu bhi shayad roya hoga

'Nasir' tera mit purana 
tujh ko yad to ata hoga

No comments:

Popular Posts