Monday, May 31, 2010

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se


Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad, 

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai, 
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad, 

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri, 
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad, 

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka, 
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad, 

Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat, 
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad, 

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin,
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad, 

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua, 
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad...

No comments:

Popular Posts