Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi,
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi,
Yun To Hungame Uthate Nahi Deewane-E-Ishq
Magar Aye Dost Kuch Aison Ka Thikana Bhi Nahi,
Muddatein Guzari Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,
Aur Hum Bhul Gaye Ho Tujhe Aisa Bhi Nahi,
Ye Bhi Sach Hai Ke Mohabbat Mein Nahi Majboor,
Ye Bhi Sach Hai Ke Tera Husn Kuch Aisa Bhi Nahi,
Dilki Ginti Na Yaganon Mein Na Beganon Mein,
Lekin Is Jalvaagaah-E-Naaz Se Uthta Bhi Nahi,
Badguman Ho Ke Mil Aayi Dost Jo Milana Hai Tujhe,
Ye Jhijhakte Hue Milna Koi Milna Bhi Nahi,
Shikwa-E-Jaur Kare Kya Koi Us Shokh Se Jo,
Saaf Qaayal Bhi Nahi Saaf Mukarta Bhi Nahi,
Meherbani Ko Mohabbat Nahi Kehte Aye Dost,
Aah Mujhse To Meri Ranjish-E-Bejan Bhi Nahi,
Baat Ye Hai Ke Sukun-E-Dil-E-Vehshi Ka Makaam,
Kunj-E-Zindan Bhi Nai Vusa'at-E-Sehra Bhi Nahi,
Muh Se Hum Apne Bura To Nahi Kehte Ke,
Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahi...
No comments:
Post a Comment