Monday, May 31, 2010

Lab-E-Khamosh Se Afsha Hoga

Lab-E-Khamosh Se Afsha Hoga, 
Raaz Har Rang Mein Ruswa Hoga, 

Dilke Sehra Mein Chali Sard Hawa, 
Abr Gulzaar Pe Barsa Hoga, 

Tum Nahi The To Sar-E-Baam-E-Khayal, 
Yaad Ka Koi Sitara Hoga, 

Kis Tawaqqo Pe Kisiko Dekhein,
Kio Tumse Bhi Haseen Kya Hoga, 

Zeenat-E-Halqaa-E-Aagosh Bano, 
Door Baithoge To Charcha Hoga, 

Zulmat-E-Shab Mein Bhi Sharmaate Ho, 
Dard Chamkega To Phir Kya Hoga,

Jis Bhi Fankaar Ka Shahakaar Ho Tum, 
Usne Sadiyon Tumhe Socha Hoga, 

Kis Kadar Karb Se Chatki Hia Kali,
Shaakh Se Gul Koi Toota Hoga, 

Umr Bhar Roye Faqat Is Dhun Mein, 
Raat Biti To Ujala Hoga, 

Saari Duniya Hamein Pehchanti Hai,
Koi Hum Sa Bhi Na Tanha Hoga...

No comments:

Popular Posts