Tere gale me jo baahon ko daal rakhte hai,
tujhe manane ka kaisa kamaal rakhte hai,
tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
bahut se kaam muqaddar pe taal rakhte hai,
Kio bhi faisla hum soch kar nahi karte,
Tumhare naam ka sikka uchhal rakthe hai,
Tumhare baad yeh aadat si ho gayi apni,
bikharte sookhte patte sambhal rakhte hai,
Khushi si milti hai khudko aziyatein de kar,
so jaan bujh ke dilko nidhaal rakhte hai,
Kabhi kabhi wo mujhe has ke dekh lete hai,
kabhi kabhi mera behad khayal rakhte hai,
tumhare hijar me ye haal hogaya apna,
kisika khat ho usse bhi sambhal rakhte hai,
khushi mile to tere baad khush nahi hote,
hum apni aankh me har dal malaal rakhte hia,
Zamane bhar se bacha kar wo apni panaah mein,
mere wajood ke tukde sambhal rakhte hai,
kuch is liye bhi to behaal ho gaye hum log,
tumhari yaad ka behad khayal rakhte hia...
No comments:
Post a Comment