Monday, May 31, 2010

Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho, Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi

Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho, Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi, 
Pehchanne Wale Jante Hai, Khush Hum Bhi Nahi Khush Tum Bhi Nahi, 

Tum Apni Khudi Ke Pehre Mein, Or Dam-E-Gharoor Mein Jakde Hue, 
Hum Apne Za-Am Ke Narghay Mein, Haath Hamare Pakde Hue, 

Ek Muddat Se Ghatan Pehchan, Tum Rabt-O-Guraiz Ke Dharon Mein,
Hum Apne Aap Se Uljhe Hue, Pachtave Ke Angaron Mein,

Mashor-E-Talatum Aaj Bhi Ho, Jo Tumne Kinare Dhund Liye, 
Toofan Se Sambhle Hum Bhi Nahi, Kehne Ko Sahare Dhoond Liye, 

Khamosh Se Tum Hum Mohar Ba-Lab, Jug Beet Gaye Tumse Baat Kiye, 
Suno Khel Adhoora Chhodte Nahi, Bina Chaal Chale Bina Maat Kiye, 

Jo Bhagte Bhagte Thak Jayein, Wo Saaye Ruk Bhi Sakte Hai, 
Chalo Todo Kasam Ikraar Karein, Hum Dono Jhuk Bhi Sakte Hai...

No comments:

Popular Posts