Monday, May 10, 2010

har bezaban ko sholanawa kah liya karo

har bezaban ko sholanawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo

khud ko fareb do k na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-wafa kah liya karo

gar chahte ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo

insan ka agar qad-o-qamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hawa kah liya karo

apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo

le de k ab yahi hai nishan-e-ziya "Qateel"
jab dil jale to us ko diya kah liya karo

No comments:

Popular Posts