Monday, May 10, 2010

hijr ki pahli sham k saye dur ufaq tak chaye the

hijr ki pahli sham k saye dur ufaq tak chaye the
ham jab us k shahar se nikle sab raste sanwlaye the

jane wo kya soch raha tha apne dil mein sari rat
pyar ki baten karte karte us k nain bhar aye the

mere andar chali thi andhi thik usi din patjhar ki
jis din apne jure mein usne kuch phul sajaye the

usne kitne pyar se apna kufr diya nazrane mein
ham apne iman ka sauda jis se karne aye the

kaise jati mere badan se bite lamhon ki khushbu
khwabon ki us basti mein kuch phul mere ham-saye the

kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apne sathi ko
per pe baithi ik chiriya ne apne par phailaye the

rukhsat k din bhigi ankhon us ka wo kahna ha "Qateel"
tum ko laut hi jana tha to is nagri kyun aye the

No comments:

Popular Posts