pyas wo dil ki bujhane kabhi aya bhi nahin
kaisa badal hai jiska koi saya bhi nahin
berukhi is se bari aur bhala kya hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin
roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
aj tak hamne jise pas bulaya bhi nahin
sun liya kaise Khuda jane zamane bhar ne
wo fasana jo kabhi hamne sunaya bhi nahin
tum to shayar ho 'Qateel' aur wo ik am sa shakhs
us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahin

No comments:
Post a Comment