Monday, May 10, 2010

hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya

hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

main chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

No comments:

Popular Posts