Monday, May 10, 2010

main to avara shayar hon meri kya vaqat

main to avara shayar hon meri kya vaqat
ek do git pareshan se ga leta hon

gahe gahe kisi nakam sharabi ki tarah
ek do zahar ke sagar bhi charha leta hon

tu ke ik vadi-e-gulrang ki shahzadi hai
ek bekar se insan ke liye vaqf na ho

tere khvabon ke jaziron main bari raunaq hai
ek anjan se tufan ke liye vaqf na ho

No comments:

Popular Posts