jo bhi guncha tere honton par khila karta hai
wo meri tangi-e-daman ka gila karta hai
der se aj mera sar hai tere zanon par
ye wo rutba hai jo shahon ko mila karta hai
main to baitha hun dabaye huye tufanon ko
tu mere dil ke dharakne ka gila karta hai
rat yon chand ko dekha hai nadi mein raksan
jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai
kaun kafir tujhe ilzam-e-tagaful dega
jo bhi karta hai muhabbat ka gila karta hai

No comments:
Post a Comment