Thursday, June 17, 2010

Daikh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo


Daikh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo
Log jal jayange sooraj ki tamanna na karo 

Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

Kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayangi
Aur kuch roz abhi aaina dekha na karo 

Ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
Apne din raat ko itna bhi akela na karo

Khwaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
Khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo 

Be khiyali main kabhi ungliyan jal jayaingi
Raakh guzre hoye lamhon ki kuredah na karo

No comments:

Popular Posts