Thursday, June 17, 2010

Tery galy mai jo banhon ko dal rakhty hain

Tery galy mai jo banhon ko dal rakhty hain
tujhy manany ka kesa kamal rakhty hain 

tujhy khaber hai tujhy sochny ki khtir hum!
Buht se kam muqadder pe taal rakhty hain 

koi bhi faisla hum soch ker nahi kerty
tumhary naam ka sikka uchal rakhty hain 

tumhary bad ye adat si hogai hai apni
bikhrty sokhty patty sambhal rakhty hain 

khushi si milti hai khud ko aziyaten de ker
so jaan bojh k dil ko nidhal rakhty hain 

kabhi kabhi wo mujhko hans k dekh lety hain
kabhi kabhi mera be had khayal rakhty hain 

tumhary hijer mai ye haal ho gaya hai apna
kisi ka khat ho usy bhi sambhal rakhty hain 

khushi mily tu tery bad khush nahi hoty
hum apni ankh mai her dam malal rakhty hain 

zamany bher se chupa ker wo apny anchal mai
mery wajod k tukry sambahl rakhty hain 

kuch is liye bhi tu behaal hogay hum log
tumhari yad ka be had khayal rakhty hain

No comments:

Popular Posts