Jis se bandhy thy dono wo gham nahi rahy hain
tum, tum nahi rahy ho hum, hum nahi rahy hain
lamhon k pair pe kuch phol hain dard o gham k
jeewan mai ab khushi k mosam nahi rahy hain
rahon mai ab khra hon phelay hath khali
gham thy mera asasa aur ghum nahi rahy hain
ro ro k tery dukh mai sehra sa hogaya hon
ab ankh k kinary bhi nam nahi rahy hain
tu aur simt mai hai mai aur simt mai hon
ulfat k rasty ab baham nahi rahy hain
fikr e muash ne tu jazbon ko rond dala
ashiq wagerna hum bhi kuch kam nahi rahy hain
tum he thy meri duniya,tum he meri muhabbat
tum jonahi tu dono alam nahi rahy hain
No comments:
Post a Comment