Main Darta Hoon!
In Aankhon Se
Jo Hamari Taraf Uthti Hain
Aur Humein....
Tamasha-e-Nigah Bana Deti Hain
Main Darta Hoon!
Taqdeer k Zalim Jhonkoo Se
Jin Ki Zad Mein MusalSal
Meri Chahtoon Ka
Mery Armanoon Ka
TimTimata Houa Diya Hay
Main Darta Hoon!
Apnay Aap Se
k Kahin BeKhudi Mein
Tery Pakeeza Wajood Se
Lipat Kar
Dunya Ki Najs Nazaroon Mein
Tery Taqaddus Ko
Tamasha-e-Ruswaii Na Bana Doon
Main Darta Hoon!
Faraaq Ki Kaali Ratoon Se
Jin Mein Chaand Sitary Nahi
Faqat Andhery Ka Safar
BeBasi aur BeChaini k Sang-e-Meel Hain
Main Darta Hoon!
Haqeeqat k Safar Se
Jo Dasht Se Zayada KarbNaak
Aur Samandar Se Zayada Gehra Hay
Jahan Pyaas k Jungle
Mayoosi k Saaye
Aur Shayed
Umeed Ki Ik Kali Hay
Jo Kabhi Khilti Hay
Aur Kabhi Murjha Jati Hay
Aey Jaan-e-Tamanna
Main Tumhary Paas Hotay Hoye bhi
Tum Se Door Hoon
Yeh Tark-e-Talluq Nahi,BeWafayii Nahi
Magar Main Majboor Hoon
Kiun k..!
Main Darta Hoon...!!!
No comments:
Post a Comment