yeh waqt bhee kitna zalim hay
Itnay bars ke doori aur mehjoori kay
afsoon e safr may lipta huwa
ik shakhs achanak aan mila
main usko dekh ker shashder tha
woh mujhse siwa hairaan mila
yeh waqt bhee kitna zalim hay
is hijr may kya kya royae thaay hum
is yaad may kya kya khoye thaay hum
kuch dair to dono chup say rahay
phir ussne kaha, tum kesay hoo?
aur main nay kaha... bus acha hoon
phir ussne kaha yeh itne dinoo k baad ka mila khoob raha
koi purana dost milay tu dilko bhala sa lugta hay
yeh shehar tu bilkul badal gaya,,,, ab chalti hoon
phir main nay kaha,
main shaam samay her roz yahan per ata hoon
jub waqt milay tum ajana
iss waqt mujhe bhee jaldi hay,, ab chalta hoon
yeh waqt bhee kitna zalim hay
No comments:
Post a Comment