Thursday, June 17, 2010

Dil mein ek koahish hai jo sirf tum sey wabasta hai


Dil mein ek koahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
tumharay qadmoon mein phailana chahti hoon

tumharay her ghum ke kantay ko apni,
palkoon sey uthana chahti hoon

jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
khud dia ban ker jalna chahti hoon

jo lay tumharay hontoon per khushi,
woh muskurahat ban na chahti hoon

dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
tumhari mehak banana chahti hoon

jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
tumhari her koahish pori kerna chahti hoon

jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahti hoon

jo rahay hamesha tumharay saath ,
woh saaya ban ker chalna chahti hoon

khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahti hoon

No comments:

Popular Posts