Wednesday, June 9, 2010

Dil ki dharkan hai khayaloon main merey rehta hai

Dil ki dharkan hai khayaloon main merey rehta hai
koun hai wo jo sawaaloon main merey rehta hai

jisko dekha na kabhi us sey wafa karta hoon
dil ke aainey mai main us sey mila karta hoon

main nahi jaanta ye kis ki talab hai mujhko
kis ka armaan iraadon main merey rehta hai

khawaab hai wo mera taabeer dilaoun kesey
apni hasrat ko main taqdeer banaun kaisey

mujh ko milta hai sakoon uska tassawar karke
wo ishara jo isharoon main merey rehta hai

kiski tareef main likhi ye ghazal kiya janoo
kisko kehta hoon mohabat ka kanwal kiya janoo

main tu bas aik hi umeed main rahta hoon sada
usko dekhoon jo nazaroon main merey rehta hai

No comments:

Popular Posts