Wednesday, June 9, 2010

yeh sach kaha tumnay k yeh achi hai mri ghazlain


yeh sach kaha tumnay 
k yeh achi hai mri ghazlain
likin itna to samjh jao
k koi ye kion likhta hai
kabhi khud se b pocha hai
tumhay ye kio pasand ai
is mai dard jo shaamil hai
tumharay seenay mai b dafan hai
mat bhago haqeqat se
yahi ik raz hai janam
jo teray dil mai chupa hai
mainay ye mehsos kia hai
zara tum tehar to jao
yun muskura kio rahay ho
chupana chahtay ho mujhse
tum zindgi apni
suno mai phir se kehti hoon
mai wo shaks hoon janam
jo tumhain bechain ker dayga
tumhain sonay nai day ga
tum majbor ho jaogay
mujhay sochnay per yar
mujse milnay ki chahat to 
teray dil mai hai ab jagi
likin yeh b tum sun lo
hum kabhi mil na paen gain..!!

No comments:

Popular Posts