Wednesday, June 9, 2010

Woh subah kabhi to aayegi


Woh subah kabhi to aayegi 
In kaali sadiyon ke sar sey jab raat ka aanchal dhalkega 
Jab dukh ke badal pighalengey jab sukh ka saagar jhalkega 
Jab ambar jhoom ke nachega jab dharati naghame gayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

Jis subah ki khaatir jug jug sey hum sab mar mar ke jeeten hain 
Jis subah ke amrit ki dhun mein hum zahar ke pyaale peeten hain 
In bhuki pyaasi ruhon par ik din to karam farmayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

maana keh abhi terey merey armanon ki qimat kuch bhi nahin 
Mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahin 
Insanon ki izzat jab jhutey sikkon mein na toli jaayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

Daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega 
Chaahat ko na kuchala jayega, izzat ko na becha jayega 
Apney kaaley kartuton par jab yeh duniya sharmaayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

Beeten-gey kabhi to din aakhir yeh bhuk ke aur bekaari ke 
Tooten-gey kabhi to but aakhir daulat ki ijarahdari ke 
jab aik anokhi duniya ki buniyad uthai jayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

Majboor burhapa jab sooni raahon ki dhool na phankega 
Maasoom larakpan jab gandi galiyon mein bhuk na mangega 
Haque mangne walon ko jis din suli na dikhaee jayegi 

Woh subah kabhi to aayegi... 

Faqon ki chitaaon par jis din insan na jalayen jayengen 
Seeney ke dahakatey dozakh mein armaan na jalaye jayengey 
Yeh narak sey bhi gandi duniya, jab swarg banaee jayegi 

Woh subah kabhi to aayegi...

No comments:

Popular Posts