In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Jab Beeti Batain Yaad Aaein
Tu Khud Se Poochti Jati Hoon
Yeh Shehr Purana Lout Aya
Mehfil Mai Veerana Lout Aya
Ek Bheer Mai Logoun Ki Ab Mai
Kuch Dhondti Phirti Jati Hoon
In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Kaliyan,Phool,Shabnam Aur Mosam
Aj Bhi Buhat Suhanay Hain
Kuch Saal Pehlay Jo Daikha Tha
Sab Aj Bhi Waisay Anjanay Hain
Ehsas Bhi Ek Khilona Hai
Jab Chaho Jaisay Chor Hi Do
Is Dunia Mai Ek Khail Bhi Hai
Yeh Dil Hai Isko Tor Hi Do
Yunhi In Galiyoun Mai Aksar
Mai Akaili Sochti Jati Hoon
Jab Koi Humdam Na Milay To
Khud Ko Kosti Jati Hoon
In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Her Cheez Purani Waisi Hai
Bus Kuch Log Puranay Na Loutay
Kion Hoa Meray Sath Sitam
Mai Khud Se Poochti Jati Hoon
EK Rab Ka Hukam Samjh Ker Mai
Sab Kuch Bhoolti Jati Hoon
Phir Achanak Se Kuch Yaad Aya
Mai Phir Say Roti Jaati Hoon
In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Logoun Ki Bheer Se Mera To
Ab Roz Guzarna Hota Hai
Apna Guzra Kal Mai To
In Mai Daikhti jati Hoon
Bachpan Mai Inhi Rahoun Se
Mai Parhnay Jaya Kerti Thi
Rastay Mai Her Ek Insan Se
Mai Khud Ko Uljhaya Kerti Thi
Chanchal Shok Adaen Thi
Paon To Hawa Mai Hotay Thay
Hasti Bhagti jati Thi
Mai Sab Ko Sataya Kerti Thi
Koi Dukh Meray Pas Na Tha
Mai Urti Fiza Ki Payal Thi
Jawani Ka Pehna Ker Taj Mujhko
Has Kay Lout Gea Bachpan
Ab Aksar Unhi Rahoun Per
Mai Chup Chap Chalti Jati Hoon
Apnay Masoom Bachpan Ko
Mai Khud Dhoraya Kerti Hoon
In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Zindgi K Badaltay Is Andaz Ko
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
Ansoun Ankhoun Mai Hotay Hain
Laboun Pay Muskurahat Sajati Hoon
Is Zamanay K Her Shaks K Agay
Mai To Bus Muskurati Hoon
Jo Bholoun Beetay Lamhoun Ko
To Khud se Larti Jati Hoon
Phir Kuch Waqt K Bad Hi
Phir Se Khud Ko Samjhati Hoon
Chaltay Chaltay Tanha Yunhi
Mujhko Phir Se Kuch Yaad Aya
Akaili Chalti Galiyoun Main
Mai Phir Se Roti Jati Hoon
In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon
In Tanha Tanha.....
No comments:
Post a Comment