Guftagoo achhi lagi zauke nazer achha laga
muddaton ke baad koi humsafar achha laga
dil ka dukh jana to dil ka mas'ala hai per hamein
uska hans dena hamare haal per achha laga
is terha ki be-saro- samaniyon ke bawajood
aaj woh aaya to mujhko apna ghar achha laga
kya bura tha ger pada rehta teri dehleez per
tu hi batla kya tujhe woh der -ba-der achha laga
kon maktal mein na pahoncha kon zalim tha jise
tere katil se zyada apna ser achha laga
hum bhi kayal hain wafa-e-ustavari ke magar
koi poochhe kon kisko umr bher achha laga
'Meer' ki manind gerche zeest kerta tha "Faraz"
humko woh aashufta-khoo shayer mager achha laga.
No comments:
Post a Comment