Wednesday, June 9, 2010

Woh apna to hai par usay apna keh nahi sakta

Woh apna to hai par usay apna keh nahi sakta, 
Woh ik pal ko bhi rothe main seh nahi sakta 

Pyar jitna bhi ho pyar hee rehta hai, 
Samandar kabhi nadee main beh nahi sakta 

Jo aaj hai us main he khush raho usko he jyo, 
Kal kaisa ho aur kia ho koe kuch keh nahi sakta 

woh tujhay milay na milay yeh baat sach hai, 
Tuu uske bina woh teray bina reh nahi sakta

No comments:

Popular Posts