Saturday, August 21, 2010

Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai


Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai
khoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
tegh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega

Laakh baithe koi chhup chhup ke kameen gaahon mein
khoon khud deta hai jalaadon ke maskan ka suraagh
saazishein laakh uraati rahein zulmat ka naqaab
le ke har boond nikalti hai hatheli pe chiraagh

Zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tund hai, khirman pe lapak sakta hai

Tum ne jis khoon ko maqtal mein dabaanaa chaaha
aaj vo kuchaa-o-bazaar mein aa nikla hai
kahiin shola kahiin naarah kahiin patthar ban ke
khoon chalta hai to rukta nahiin sangeeno se
sar jo uthtaa hai to dabtaa nahiin aaeeno se

Zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaghaaz se anjaam talak
khoon phir khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shaklein ke mitaaoo to mitaaye na bane
aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
aise naare k dabaao to dabaaye na bane.. 

Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai
khoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

Popular Posts