Wednesday, December 29, 2010

aadmi kitna baNtaa daftar, gali, ghar-baar meiN



aadmi kitna baNtaa daftar, gali, ghar-baar meiN
yah khabar chhapti kahaaN hai aik bhi akhbaar meiN.

sunate haiN usne bhi phir dekha nahiN saahil kabhi
chhoR kar hum ko gayaa tha jo kabhi majhdhaar meiN.

jism to saara humaara thak gayaa chalte huye
par ravaani aaj bhi hai aaNsuoN kii dhaar meiN.

husn kii har na pe bhi yah soch kar raahat rahii
kuchh razaa shamil hua karti hai har inkaar meiN.

tumko khokar kya bataayeN gulsitaaN ko kya hua
aik patta bhi haraa dikhta nahiN ashjaar meiN.

kyoN ye duniya ghoomti hai, kya tumheN maaloom hai
anginat toofaaN chhipe haiN aik ik kirdaar meiN.

dhoop jaisii dhoop dekhe ik zamaana ho gayaa
teergii-si bhar gayi hai waqt kii deewaar meiN.

meer kii chahat, asad ka falsafaa, momin ke gham
ya Ilaahi saj gaye saare hunar baazaar meiN.


saath koyi bhi rahe ya maiN kahiN tanha rahuN
ik ajab-si bekali maaiil milii sansaar meiN.

aane wali nasl ko to kuchh nayi duniya mile
aag lag jaaye tabar meiN, top meiN, talvaar meiN.

aaj ik taazaa ghazal paRh kar situmgar ro paRaa
aa gayi taseer shaayad kuchh mere ash’aar meiN.

No comments:

Popular Posts