Wahshat-e-jabr tera luqma-e-tar honey tak
Sar uthata hooN meiN begana-e-sar honey tak
Baandh ayat ki tarah choob-e-qadeemi sey mujhey
Daaf-e-ranj-o-musibat hooN, asar honey tak
Dasht-e-be-had meiN bagooley ki tarah phirtha hooN
Gard uRti hey meri khak ba sar hroney tak
Sard rehta hey jahaN shula-e-takhleeq-e-hunar
Jhilmilata hooN wahaN sarf-e-nazar honey tak
Sau k uthta hooN tu deewar nai hoti hey
Raat kha jati hey khawbooN ko sahar honey tak
Mujh ko asaib zada ghar meiN paRey rehna hey
...aur rehna hey mujhey iss meiN niDar honey tak
Gharq-e-darya jo howa hooN tu shikayat kaisi
Lehr sy lutf liya... meiN ney bhaNwar honey tak
Tukhm-e-umeed sy yeh ehd kiya tha meiN ney
dhoop meiN jalta rahooN ga meiN shajar honey tak
Kaisy mumkin hey bhula dooN meiN tery gham ka hisaab
Iss ko rakhta hooN meiN seeney meiN samar honey tak
Maira kirdar kahani meiN hey itna sahib
Bas tery saath chalooN gard-e-safar honey tak
Yeh saza apney liye meiN ne chunni hey Azar
Iss zameeN par rahooN, aflaak meiN dar honey tak
No comments:
Post a Comment