Be samar ham tere dar se gaey
Hein zida magar dil jigar se gaey
Ishq ki maey kar gaee kaam apna
Ek ghont mein behr-o-barr se gaey
Chaman mein baney ga aab ashiana
Aarzo ley kar ye ghar se gaey
Talash-e-jana mein katee umar saree
Tujhe he paya ham jidhar se gaey
Guzar tera tha ya jhonka saba ka
Deewane howey rah guzar se gaey
Utar jaey dil mein shokhi-e-nazar
Tujhe dekh kar us nazar se gaey
Ek rona he tha faqtt kaam apna
Bahe aanso itne deeda varr se gaey
Dil aakhir dil hey sang-e-rah nahein
Ek thokar mein udhar idhar se gaey
Too he mila na Kaabey ka rasta
Ho ke nashad tere shahar se gaey
Baaz raho ATHAR ishq ke safar se
Pukarein gey logg Majno jidhar se gaey
No comments:
Post a Comment