Kaisa hai yeh dil???
Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN
MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN
Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri
Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri
Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham
Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri
Fason-e-gesu tera ab na karayga girftaar mujhay
Har din ab na rehaygi teri hasrat-e-didaar mujhay
Ab na hoga mujhay teri is berukhi pay raNj koi
Sangsaar na karygaa ab tera yeh gair sa kirdaar mujhay
Har ada teri ab na meray alfaaz main dhalygi
Tujhay paany ki tamanna na meray khwaaboN main palaygi
Ab na hoga aisa meri ziNdgi ka nizaam
Ki teray ruknay say rukay aur chalnay say chalygi
Kasam to lay nahi sakta maiN in sub ki
Koshish ka vaadaa khud say hai zarror magar
Kya karuNga kaisay saMbhalUnga kuch to bataay koi
Daikhogi kahiN tum ho kar udaasi maiN choor agar?
No comments:
Post a Comment