Baadal rukaa huwa hay ….. hawaa ko…… rasaayi day
Kuch neem jaaN shajar ko namoo ...day, numaayi day
Khaahish nahiN namad ki, na haajat namad ki hay
Bus jo sakoon day mujhay aisi chataayi day
TaarikiyoN ne ……..fikr ko taareek kar diya
Aisay maiN kaash …… noor ka kirmak dikhaayi day
PairoN main mairay…… waqt ki zanjeer…… tan gyi
Aabi….zamini…. rah nahiN….. rastaa hawaayi day
Nanhi si koNploN ki….. namoo jis ne khooN se ki
Haq us tanay ko hay…. keh kahay ! “kuch kamaayi day”
Mairi sama’atoN ki ……zyaada …….talab nahiN
Akshar bohat zyaada nahiN ………sirf dhaayi day
Izhaar-e-ishq karne ki……….. hasrat tamaam ho
Gar…roobarooy-e-husn…..ye dharkan thamaayi day
Utray har aik saaNs maiN …..tasweer WARD ki
Khushboo ko barg-e-WARD se aisay rehaayi day
No comments:
Post a Comment