Saturday, January 7, 2012

Aankh mein khwab nahi khwab ka saani bhi nahi

Aankh mein khwab nahi khwab ka saani bhi nahi
kunj e lab mein koi pehli si kahani bhi nahi

dhoondta phirta hun ik shehr e takhayyul mein tujhe
aur mere paas tere ghar ki nishaani bhi nahi

baat jo dil mein dharakti hai muhabbat ki tarha
us se kehni bhi nahi us se chupaani bhi nahi

aankh bhar neend mein kya khwab samaitain k abhi
chaandni raat nahi, raat ki rani bhi nahi


lailai husn zara daikh tere dasht nazaad
sar basar khak hain aur khak uraani bhi nahi

kachay eendhan mein sulagna hai aur is shart k saath
tez karni bhi nahi aag bujhani bhi nahi

ab to yun hai k tere hijr mein ronay k liye
aankh mein khoon to kya khoon sa paani bhi nahi.

No comments:

Popular Posts